SHABE BARAAT (P-1)

ΞΞΞΞ •••••  【<٨ч/۹۲/۱۱】 ••••• ΞΞΞΞ
🌹🌹🌹  ησσгι gгσυρ  🌹🌹🌹
Maslake Aala Hazrat Zindabad, Huzoor TajushShariah Zindabad

        📿SHAB-E-BARAAT📿
                   شَـــبِ بـَــرَات
🅿…1

✅SHABE BARAAT KYA HAI AUR IS ME KYA KARNA CHAHIYE?

✍Shabe Baraat Shaban Ki 14vi aur 15vi taarikh ki darmeyani rat ko kahte hai'n, Aqidae Muslemeen Ke Bamaujib is Rat ko Umr ka Hesab aur taqseeme rizq hota hai, Is ke Maani Khushi ki Bat, Hissa aur Aazad Hone aur Chhutne ke Hai'n
            Ise Arbi Me Laylatul Bara'a(لَیلَۃُ البَرَاء) kahte hai'n, Yahaa'n Aazad Hone Ka Matlab Ye Hai ki Bakhshish Hone Ki Wajah Se Jahannam Se Aazad Hona, Akherat Ke Azab Se Mahfuz Ho Jana
✍Aur Is Rat ko Shabe Baraat is liye bhi kaha jata hai ke is Rat me'n do bezariya hai'n
1 badbakht log Allah se bezar(Door ho jana, Juda ho jana,) hote hai'n
2 Allah ke dost zillat or gumrahi se bezar hote hai'n

🔮HUZOOR NE FARMAYA;

Mahe shaban ki darmeyani raat aane par Allah apne bando ke haalaat par nazare khwas dalta hai aur Momino'n ko bakhsh deta hai aur kafiro'n ko unki haalat par chhor deta hai shutre keena(Munafiq, Bughzi,) logo'n ko bhi unki haalat par chhor deta hai yaha tak ke wah apni keenawari ko tark na karde'n

Shabe Baraat ko Mubarak is liye kaha gya hai ke is Rat me'n logo'n par rahmat, barkat aur Allah ki taraf se bakhshish nazil hoti hai,

🔮HUZOOR NE FARMAYA;

Shaban ke darmeyani rat me'n dunya ke Aasmano'n ki taraf hukme Elahi Aata hai aur Allah Ta'ala har Musalman ko bakhsh deta hai magar mushrik wa kina rakhne wale, qatae rahmi karne wale aur zaniah aurat ko nahi bakhshta

✍Chuki Ye Shab Momino'n Ki Bakhshish Ke Liye Ek Zariya Hai Aamaal Ke Sabab Insano Ko Uska Ajr Milna Hai, Jaisa Ki Pahle Bhi Byan Kiya Gya Ki Allah Momino Ko Bakhshta Hai Magar Kafiro Munafiq وغیرہ Ko Nahi,
                   Is Liye Ham Momino'n Ko Chahiye Ki Khaas Is Shab Me'n Tauba Kar Ke Gunaho'n Se Bache Aur Zyadah Se Zyada Sawabo'n Ke Kam Kare'n, Neyaz wa Fateha Dila Kar (فاتحہ کا ثبوت آگے دیا جائے گا…۱۲), Sadqah Ada Kar Ke Apne Aabao Ajdad wa Digar Ko Is Ka Sawab Bakhshe, Is Me'n Faiz wa Barkaat Zyada Pane Ke Liye Tamam Ambeyae Keram, As'habe Mustafa aur Auliyae Haqqa (۱۲) Ko Is Ka Sawab nazr Kare'n...

•ˢᵃˡˡᵃˡˡᵃʰᵒ ᴬˡᵃⁱʰᵉ ᵂᵃˢᵃˡˡᵃᵐ ᵂᵃ ᴿᵃᶻⁱᴬˡˡᵃʰᵒ ᵀᵃ'ᵃᵃˡᵃ ᴬⁿʰᵒᵐᵃ•

🔜📝🄲🄾🄽🅃🄸🄽🅄🄴
🌹🌹🌹  ησσгι gгσυρ  🌹🌹🌹
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹



Comments