KHANE KA BYAN (P-02)

_*●•●•●•●•●•Հлч/۹۲/۱۱•●•●•●•●•●*_
*🌹🌹🌹 ησσгι gгσυρ 🌹🌹🌹*

  *🔸🔶KHANE KA BYAN🔶🔸*

*🅿:-2*


*📝Khane Se Mutalliq Chand Hadisen👇🏻*

*💥🇭ADIS No :- 1👇🏻*
Sahi Muslim Sharif Me Hozaifaرضی للہ تعا لیٰ عنہ Se Marwi Hai K Rasool Allah ﷺ Ne Frmaya K Jis Khane Par *BISMIL LAH....* Na Padhi Jae Shaytan Ke liye  Wo Khana  Halal Hojata  hai
Yani *BISMIL LAH...* Na Padhne Ki Surat Me Shaytan Us khane Me Sharik Ho jata Hai .



*💥🇭ADIS No :-2👇🏻*
Sahi Muslim Me Hazrat Jabir رضی اللہ تعا لیٰ عنہ Se Marwi Hai Ke Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Jab Koi Shakhs  Makan Me  Aaya Aur Dakhil Hote Waqt Aur  Khane Ke Waqt Us Ne *BISMILLAH* Padhli To Shaytan Apni Zurriat (Nasl) Se Kahta Hai Ke Is Ghar Me Na Tumhe Rahna Milega Na Khana
Aur Agr Dakhil Hote Waqt *BISMILLAH...* Na Padhi To Kahta Hai Ab Tujhe Rahne Ki Jagah Milegi Aur Khane Ke Waqt Bhi *Bismillah* Na Padhi To Kahta Hai Rahne  Ki Jagah Bhi Mili Aur Khana Bhi Mila.

*💥🇭ADIS No:-3👇🏻*
Sahi Muslim Wa Sahi Bukhari  Me Umar Ibne Abi Salma رضی اللہ تعا لیٰ عنہما Se Marwi
 Kahte Hain k Mae Bachcha Tha Rasool Allah ﷺ Ki Prwarish Me Tha (Yani Ye Huzoor Ke rabib Aur Ummul Momenin Umme Salma رضی اللہ تعا لیٰ عنہما Ke Farznd Hain) Khate Waqt Bartn Me Har Tarf Hath Dalta Huzoor Ne Irshad Farmaya *Bismillah....* Padho Aur Dahine Hath Se Khao Bartan Ke Us Janib Se Khao Jo Tumhare Qarib Ho .

*📚Book : Islami Akhlaq Wa Adab*
                  *Page No:-12*

*♻NOORI GROUP* _Join Karne Ke Liye Admin Se Rabta  Kare..._
🔰+91 9504410598🔰
🔰+91 7033921192🔰
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Comments