ISLAM ME AURAT (P-01)

_*●•●•●•●•●•Հлч/۹۲/۱۱•●•●•●•●•●*_
_*🌹🌹🌹 ησσгι gгσυρ 🌹🌹🌹*_

〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  【 ● ISLAM ME AURAT ● 】
                 【Part:01】
〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*KANZUL IMAAN* - Aur jab unme se kisi ko beti hone ki khush khabri di jaati hai to din bhar uska munh kaala rahta hai aur gussa khaata hai

📕 Paara 14,surah nahal,aayat 58

*🔅 Yaani ladkiyon ki paidayish par naakhush hona kaafiro ka tariqa hai,aur padhiye*

*HADEES* - Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki "Jis ghar me ladkiyan hoti hain to aasman se rozana us ghar par 12 rahmatein naazil hoti hain aur us ghar ki farishte ziyarat karte hain aur us ladki ke maa baap ke naamaye aamaal me rozana saal bhar ki ibaadat ka sawab likha jaata hai

📕 Nuzhatul majalis,jild 2,safah 83

*HADEES* - Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki "jiske betiyan hon aur wo unki achchhi tarah parwarish kare to qayamat ke din wo aur main itne paas honge phir aapne apni ungliya milakar dikhaya ki is tarah yaani paas-paas

📕 Muslim,jild 2,safah 330

*HADEES* - Jiski 1 ya 2 ya 3 betiyan ya bahne hon aur wo unki parwarish kare yahan tak ki unki shadiyan kara de to uspar jannat waajib hai

📕 Mishkat,safah 423

*🔅 Agar ladkiyon ki paidayish par aisi fazilatein kisi aur dharam me aayi hon to pesh karke dikhayein magar na dikha sakenge kyunki ladkiyon ki aisi fazilat aur unka haq unhein sirf aur sirf islaam ne diya hai,ab koi kahe ki unhein parde me rakhkar ghar me qaid karna kahan ka haq hai to yaad rakhiye ki ghar me rahna ya parde me rakhna unhein qaid karne ke liye nahin balki unki behtari ke liye hai kyunki keemti cheez hamesha 100 pardon me rakhi jaati hai agar is baat par jisko yaqeen na ho to wo apne ghar ke zevraat ek raat ke liye apne ghar se baahar rakhkar dekh le ki lutta hai ya bachta hai yaqinan lut jayega,to kya islam ki in shahzadiyon ki azmat in bekaar dhatuon se bhi kam hai jo unhein yunhi khula chhod dein ki har aira gaira natthu khaira uspar nazar gadaye,ye baat usi ke samajh me aayegi jiske andar haya baaqi hogi aur gairat zinda hogi warna aajkal kuchh logon ko apne gahr ki aurton ko numayish karne me bada maza aata hai maaz ALLAH*

*KANZUL IMAAN* - Mardon ke liye unki kamayi se hissa hai aur aurton ke liye unki kamayi se hissa

📕 Paara 5,surah nisa,aayat 32

*🔅 Aurton ka unki kamayi se hissa hai iska saaf matlab ye nikalta hai ki aurat bhi kama sakti hai magar bas parde me rahkar,ab bataiye jab islam ne aurton ko bhi kamane ka haq diya hai to phir aurat islam me bechari aur majboor kahan se ho sakti hai,ye fizool ke propgande hain jo islam ke khilaf gair muslim aksar phailate rahte hain aur hamari kuchh jaahil aurtein unke isi bahkawe me aa jaati hain*

*KANZUL IMAAN* - Ai imaan waalo tumhein halaal nahin ki aurton ke waaris ban jao zabardasti.............aur unse achchha bartao karo phir agar wo tumhein pasand na aayein to qareeb hai ki koi cheez tumhein pasand na ho aur ALLAH usme bahut bhalayi rakhe

📕 Paara 5,surah nisa,aayat 19

*🔅 Yaani kisi bhi aurat par jabr jayaz nahin aur ye bhi ki kami beshi to har insaan me hoti hai koi mukammal nahin paida hua siwaye nabiyon ke,to aise me kisi insaan me kharabi dhoondna koi badi baat nahin badi baat to ye hai ki uski kamiyon aur aibon ko nazar andaaz kare aur wo khoobi talaash kare jo maula ne usme rakhi hai,jaisa ki wo khud bayaan farma raha hai*

 🔜To Be Continue .....

🖊Copied Քrom ZEBNEWS
📜Բor NOORI GROUP

  *🆖 +91* *7033921192*
          *+91* *9504410598*
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Comments