IMAN WA AQIDAH (P-05)
_*●•●•●•●•●•Հлч/۹۲/۱۱•●•●•●•●•●*_
*☆★☆★ ησσгι gгσυρ☆★☆★*_
_*Tanzim-e-Ahle Sunnat,Champaran(Tahrik Rah-e-Sulook)*_
*☆IMAN WA AQIDAH☆*
Part-5
7) Nabi aur Farishta masum hota hai yani koi gunah usse nahi ho sakta, Nabi aur Farishta ke elawa kisi Imam aur Wali ko masum manana gumrahi wa badmazhabi hai, *agarche Imamo aur bare-bare Walio se bhi gunah nahi hota lekin agar kabhi koi gunah ho jai to shar'an mohal bhi nahi hai*
8) Jo kisi ghair Nabi ko Nabi se afzal batai wo kafir hai
9) Nabi me koi aisi baat nahi hoti jisse log nafrat karte ho, Nabi ka chal-chalan, Shakal wa Surat,Hasbo Nasab ,taur tariqa,baat chit sab achchhe aur be'aib hote hai
10) *_Allah ta'aala ne Ambeya(alaihis salan) ko Ghaib ki bate(n) batai ,yani Allah ki ataa se Ambeya(alaihis salam) Ilm-e-ghaib jante hai_*
11) *_ye ilm-e-ghaib Allah ke diye se hai,lehaza ye ilm ataee hua aur Allah ta'aala ka ilm kisi ka diya hua nahi hai balke khud use hasil hai lehaza ye ilm Zati hua_*
★ *_Ab jab ke Allah ta'aala ke ilm aur Rasul ke ilm ka farq malum ho gaya to zahir ho gaya ke Nabi wa Rasul ka ilm Allah ta'aala ka diya hua hai to Rasul wa Nabi ko Ilm-e-ghaib ka janane wala manana Shirk nahi, balke IMAAN hai_*★
_Continue....._
🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀
*🆖NOORI GROUP* _Join karne ke_
_Liye Admin se Rabta kare..._
*📱+91 7033921192📲*
*📱+91 9504410598📲*
*💠2 Group's* { Male & Female }
- 🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Comments
Post a Comment