🕯KUNDO'N KI NEYAAZ🕯

 ΞΞΞΞ •••••🌹【<٨ч/۹۲/۱۱】🌹••••• ΞΞΞΞ

𝙈𝙖𝙨𝙡𝙖𝙠𝙚 𝘼𝙖𝙡𝙖 𝙃𝙖𝙯𝙧𝙖𝙩 𝙕𝙞𝙣𝙙𝙖𝙗𝙖𝙖𝙙,
𝙃𝙪𝙯𝙤𝙤𝙧 𝙏𝙖𝙟𝙪𝙨𝙝𝙎𝙝𝙖𝙧𝙞𝙖𝙝 𝙕𝙞𝙣𝙙𝙖𝙗𝙖𝙖𝙙

   🕯KUNDO'N KI NEYAAZ🕯


✍Kunde Ka Lafzi Maana Mitti Ka Bartan, Nazr Wa Neyaaz Ka Samaan, Shirni Jo Ki Mitti Ke Bartan Me Ho,

✍Ye Neyaaz Ahle Sunnat Wal Jamaat Me Imame Jafar Sadique Aur Ameere Muaawiya Ke Talluq Se 22 Rajab ul Murajjab Ko Raij Hai

✍Chuki Imam Jafar Sadique Ka Wesal 15 Rajab Shareef Ko Hua Is Liye Kuchh Logo'n Ka Ka Manna Hai Ke 22 Rajab Ki Jagah 15 Rajab Ko Neyaaz Karaya Jae, To Kuchh Is Liye Bhi 15 Rajab Ka Kahte Hai'n Ki 22 Rajab

Ko Shiya Log Ameere Muaawiya Ke Wesal Ki Khushi Manate Hai'n,

✍Is Ke Elawa Is Neyaaz Ke Talluq Se Kai Ghalat Rusoomaat Aur Tareeqe Raij Hai'n Jinka Jaanna Zaruri Hai, In Sab Ka Zikr Silsila Ba Silsila Kiya Jaega.

[Fateha/Neyaz Ka Suboot:- https://myngweb.blogspot.com/2018/04/g-baraat-special-post1-sowal-shabe.html]


🏵KUNDA 15 YA 22 RAJAB KO?


🖊15 Rajab Ko Imame Jafar Sadique Ke Wesal Ke Mauqe Par Neyaaz Dilae'n,
Magar Kunde Ki Neyaaz 22 Rajab Ko Shuru Se Raij Hai, Aur Isme Koi Shar'an Harj Bhi Nahi Aur Jo Baate Ya Aeterazaat Aate Hai Ki 22 Ko Na Karaya Jae We'n Bebuniyad Hai, Aur Laiqe Tasleem Nahi Lehaza 22 Ko Kunde Ki Neyaaz Ameere Muaawiya Aur Imame Jafar Sadique Ke Naam Ki Karae'n

✍Imame Jafar Sadique Ka Wesal 15 Rajab Ko Hua Is Liye Us Din Neyaaz Dilane Me To Koi Harj Nahi, Balke Dilana Bhi Chahiye,...

                Magar Kundo'n Ki Neyaaz 22 Rajab Ko Karai Jati Hai Isme Bhi Koi Shar'an Harj Nahi


Agar Kisi Ka Kahna Hai Ki 15 Rajab Ko Imam Jafar Sadique Ka Wesal Hua Is Liye 22 Ko Na Karai Jae,

                 To Uska Ye Kahna Ghalat Hai, Kyu Ki Fatehe Aur Neyaaz Karane Ke Liye Weladat Ya Wesal Ka Din Hi Hona Lazim Nahi, Dusre Aiyaamo Me Bhi Karai Ja Sakti Hai Albatta Us Din Karane Me Bhi Harj Nahi


Jaise Ghause Aazam Ka Urs Shareef 11vi Shareef Yani 11 Rabi ul Aakhir Ko Manaya Jata Hai Jabki Ye Unka Tarikhe Wesal Nahi,

Fidae Ghausul Aazam Shaikh Khuda Bakhsh Jinka Mazar Shareef Bettiah-Bihar Me'n Hai Un Ka Urs Unki Wasiat Ke Motabiq 11vi Sharif Ko Hi Manaya Jata Hai Jab Ki Ye Unka Tarikhe Wesal Nahi, (Waghairah) 


Kuchh Yu'n Hi Kundo'n Ki Neyaaz 22 Rajab Ko Raij Hai, Ye Imam Jafar Sadique Ke Nisbat Se Aur Ameere Muawiya Ke Wesal Ke Mauqe Par Isale Sawab Nazro Neyaaz Ki Jati Hai

             Lehaza 22 Rajab Ko Manane Me'n Tarikhe Wesal Ke Bena Par Bhi Koi Harj Nahi


Agar Kaha Jae Ki 22 Rajab Ko Shiye Ameere Muawiya Ke Wesal Ki Khushi Me'n Kundo'n Ka Ehtemam Karte Hai Is Liye Sunniyo Ko 15 Rajab Ko Manana Chahiye,

          To Ye Dawa Bhi Sahi Nahi,

22 Rajab Ko Neyaaz Dilane Me Shiyo Ka Radd Hai Kyu Ki Shiye Ameere Muawiya Ke Wesal Ka Jashn Manate Hai Aur Unse Bughz Rakhte Hai'n, Jabki Ham Ameere Muawiya Ke Naam Ko Bhi Neyaaz Me'n Shamil Karte Hai'n

Aur Mumkin Hai Ki Imame Jafar Sadique Ke Wasiyat/ Farman Ki Jo Baate'n Aati Hai Jiska Zikr Mufti Shariful Haq Sahab Ne Bhi Kiya Hai Wo Is Din Ki Is Liye Hi Ho Ki Shiyo'n Ka Radd Ho Sake!!

          Is Ki Haqeeqat Pe Aane Wale Post Me Zikr Kiya Jaega Magar Is Ki Asl Na Ho To Bhi 22 Rajab Ko Kunda Dilane Me'n Harj Nahi, Jaisa Ki Pahle Bhi Bataya Ja Chuka Hai Aur Isme Rafziyo'n Ke Muh Pe Tamacha Marna Hi Hua


🖊Rahi Baat Moshabehat Ki To Ye Sharai Moshabehat Me Shomar Nahi Ki Neyaaz Sunniyo Ka Aamaale Kha'seya Hai Na Ki Shiyo'n Ka,


✍Jaisa Ke Gujashta Post Me'n Moshabehat Ke Talluq Se Bataya Gya Ki Shariat Me Jin Mushabehato'n Ko NaJaiz Badkaam Wa Kufr Anjam Kaha Gya Usme'n Ye Shomar Nahi'n Kyu Ki Neyaaz Fateha Sunniyo'n Ka Aamale Khaseya  Hai Na Ki Shiyo Ka


✍Jaise Aashurae Muharram Ka Roza Jo Ki Pahle Islam Me'n Na Tha Yahudi Rakhte The Baad Me Nabi E Paak Ne Hame Bhi Hukm Diya, Kyu'n Ke Roze Ke Haqdar Wo Nahi, Wo Khwarije Islam Hai'n, Asl Haq To Musalmano'n Ka Hai, Ye Hamara Amal Hai Na Ki Yahudiyo'n Ka,


📗Tirmizi Shareef, Jild-1


✍Lehaza Agar Mushabehat Sirf Soori(Zaheri) Ho To Hukm Nahi'n Lagega,

           Jaise Shiye Bhi Namaz Parhte Hai'n To Kya Is Wajah Se Namaz Najaiz Ho Jaegi!?

Shiye-Yahudi Waghairah Bhi Roza Rakhte Hai, Khana Khate Hai'n, Kapra Pahante Hai'n, To Kya Ye Aamaal Is Wajah Se Najaiz Ho Jaega!?


🖊Dar Asl Ye Aamaale Soori Hai, Namaz Roza Hajj Zakat Sadqa Waghairah Ye Sab Hamare Aamaal Hai'n Hamara Tareeqa Hai Agar Wo Kare'n To Wo Un Ke Aamaale Soori Honge, Jis Pe Hukm Nahi Lagega


✍Haa'n Agar Koi Qasd(Khwahish, Erada, Niyat) Kare Ki Mai'n Shiyo'n Jaisa Karu'n, Shiye Karte Hai'n Is Wajah Se Karu'n To Wo Shariat Ke Giraft Me'n Hoga,

           Magar Ham Aesa Qasd Nahi Karte Aur Koi Sunni Aesa Qasd Nahi Karta


✍Lehaza Moshabehat Wali Baat Ke Bena Par Bhi 22 Rajab Ko Kundo'n Ki Neyaaz Dilane Me'n Koi Harj Nahi'n, Albatta 22 Rajab Ko Kundo'n Ki Neyaaz Dilana Har Lehaz Se Durust Hai Jis Pe Hamne Dalail To Diye, Is Ke Elawa Is Daur Ke Imam, Naibe Nabi Huzoor TajushShariah Ka Bhi Byan Maujud Hai. 

🎞 https://youtu.be/vJLuWZ8fiPk


•ˢᵃˡˡᵃˡˡᵃʰᵒ ᴬˡᵃⁱʰᵉ ᵂᵃˢᵃˡˡᵃᵐ ᵂᵃ ᴿᵃᶻⁱᴬˡˡᵃʰᵒ ᵀᵃ'ᵃᵃˡᵃ ᴬⁿʰᵒᵐᵃ•


🏵KUNDO'N KI NEYAAZ AUR IMAM JAFARE SADIQUE KA QAUL


🏺Kundo'n Ke Talluq Se Imame Jafar Sadique Ke Kaunse Qaul Byaan Kiye Jaate Hai'n!? Mafhoom Darj Karte Hai'n...


✍Auwal To— Imam Jafar Sadique Ne Apne Murid'on Se Puchha Aaj Rajab Ki 22 Tarikh Hai Kya Tumhe Iski Fazeelat Malum Hai? To Arz Hua Hazrat Hi Behtar Jaane

To Imam Jafar Sadique Ne Farmaya Is Din Jo Koi Khulus Se Kundo'n Ka Ehtemam Karega(Intezam Karna, Jama Karna,) Aur Fateha Dilaega Aur Mere Waseele Se Jo Bhi Nek Dua Mangega Allah Use Qubool Karega Agar Dua Qubool Na Hui To Maidane Mahshar Me Mera Daman Pakar Ke Sowal Kar Sakta Hai,


📕Daastaana E Ajeeb


✍Aur Dom(Dusra)— Mufti Sharif ul Haq Sahab Likhte Hai'n Ki 22 Rajab Hazrate Ameere Muawiya Ke Wesal Ka Din Hai Aur Shiye Us Din Un Par Tabarra Baazi(Laan Taan, Nafrat, Gaaliya Dena,) Karte The To Imam Jafar Sadique Ne Us Din Kundo'n Ki Neyaaz Ka Hukm Is Liye Diya Taki Shiyo Ka Radd Ho Sake Aur Ameere Muawiya Ke Wesal Ke Mauqe Par Un Ke Liye Nazro Neyaaz Bhi,


[BaZobaane Huzoor Muhaddise Kabeer–Upar Diye Link Se Sune'n ]


🖊Agar Pahle Wale Ki Baat Kare'n To Aesa Imam Jafare Sadique Ne Farmaya Ya Nahi Is Ki Asl To Ham Byan Nahi Kar Sakte Magar Farma Bhi Sakte Hai Ki Wo Allah Ke Wali Hai'n Aur Auliya Jo Mange Allah Use Deta Hai, 


Jo Zazb Ke Aalam Me'n Nikle Labe Momin Se

Wo Baat Haqeeqat Me'n Taqdeere Elaahi Hoti Hai


Mahshar Ke Roz Auliya Bhi Bakhshish Karwaenge 

Jaise Jab Kisi Nek Bande Ko Jannat Me'n Jane Ka Hukm Hoga To Koi Shakhs Unhe Rok Arz Karega Ki Maine Apko Wazu Ke Liye Pani Diya Tha To Allah Ka Hukm Hoga Ise Bhi Apne Sath Leja, To Auliya Ki Shan Ka Kya Kahna


Arz Ye Ki Pahle Qaul Me'n Mahshar Ke Din Daman Pakar Sawal Karne Ka Ye Matlab Ho Sakta Hai Ki Agar Nek Dua Qubool Na Ho To Mahshar Ke Din Uska Ajr Diya Jaega Aur Uske Gunaho'n Ki Maafi Dilai Jaegi


🖊Baat Kare'n Dusre Wale Ki To Agar Iski Bhi Haqeeqat Na Ho To Bhi Is Qaul Me'n Jaan Hai, Isme'n Byaan Baate'n Sahi Hai

Aur 22 Rajab Ko Kundo'n Ka Ehtemaam Karne Me'n Koi Harj Nahi, Jaisa Ki Pahle Bhi Byaan Kiya Ja Chuka Hai,


•ᴿᵃᶻⁱᴬˡˡᵃʰᵒ ᵀᵃ'ᵃᵃˡᵃ ᴬⁿʰᵒᵐᵃ•


🏵️KUNDA 22 RAJAB HI KO KYU RAIJ HUA!?


👉'Helyatul Auliya' Me Hazrat Ta'woos Bin Keesan Se Ye Riwayat Manqool Hai Ki imam Jafare Sadique Ka Wesal 15 Rajab Ko Hua Aap Ke Wesal Ke Baad Aap Ke Lawahiqeen Ne 7 Din Tak Isale Sawab Ka Ehtemam Kiya Fir 7ve Din Yaani 22 Rajab Ko Aalishan Paymana Par Fateha Ka Ehtemam Kiya Gaya.


👉Is Ke Baad Se 22 Ko Log Fateha Dilane Lage Jo Kunde Ke Naam Se Mash'hoor Hai, Iski Wajah Ye Hai Ki Us Zamane Me Kisi Ke Inteqal Par 7 Dino  Tak Guraba'a Wa Masakeen Ko Khana Khilana Mustahab Jante The Aur Fir Aakhir Din Bahut Zyada Ehtemam Karte The Imam Jafar Sadique Ke Ham Asr Sattar Sahaba e Keram Ki Zyarat Karne Wale Jaleelul Qadr Taba'ee Hazrat Ta'woos Bin Keesan Ka Qaul Hazrat Imam Abu Naeem Helyatul Auliya Me Naql Farmate Hai


 حَدّ َثَنَاأَبُوبَكْرِبْنُ مَالِكٍ،ثناعَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَحْمَدَبْنِ حَنْبَلٍ، حدثناأَبِي، حدثنا هَاشِمُ بْنُ الْقَاسِمِ، حدثناالأَشْجَعِيُّ،عَن   سُفْيَانَ،قَالَ:قَالَ طَاوُسٌ:"إِنَّ الْمَوْتَى يُفْتَنُونَ فِي قُبُورِهِمْ سَبْعًا،فَكَانُوا يَسْتَحِبُّونَ أَنْ يُطْعَمَ عَنْهُمْ تِلْكَ الأَيَّامِ

📚(HILYATUL AULIYA, HADISH-4593)


Is Hadis Ko Imam Ahmad Bin Hambal Ne Bhi Apni Ketab 📚'AL-ZAHAD' Me Naql Farmaya Hai


👉Isi Tarah Se Hazrat Allama Jalaluddin Suyuti Naql Farmate he,


Sahaba E Keram 7 Din Tak Wafat Pa Jane Walo Ki Taraf Se Khana Khilaya Karte The

📚(Al-HAWI UL FATAWUS SUYUTI, J-2, S-223)


👉Ye Wajah Bhi Hai Ki Kunde Ki Neyaaz 22 Rajab Ko Mash'hoor Hui.. Aur 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Hazrat Ameere Muawiya ka Tarikhe Wesal Bhi Hai To Unke Naam Se Bhi Fateha Dilae Aur Sawab Ke Haqdar Bane..

(Ab Tak Ke Posts Me Sabit Hua Ki 22 Rajab Ko Kunda Mashoor Hi Nahi Balki Is Din Karane Me Koi Shar'an Harj Nahi)

                      Ha Ye Zarur Ki Isme Kiye Jane Wale Ghalat Rusoom Jaise- Jaha Bana Waha Se Hatana Bura Sanjhna, Jaha Bana Wahi Fateha Hoga, Is Neyaz Me Se Aurate Na Khae, Jaha Bana Wahi Khaya Jae, Sirf Mitti Ke Bartan Me Hi Banega/Rakhaega, Waghairah Rusoom Se Bache Ki Ye Bebuniyad Hai'n.


Wallaho Aaalam Bis-Sawab


•ᴿᵃᶻⁱᴬˡˡᵃʰᵒ ᵀᵃ'ᵃᵃˡᵃ ᴬⁿʰᵒᵐᵃ•

{Post Ke Aakhri Topic Me'n 90%

SAWAL-O-JAWAB F.T.S👑grp [Moin Raza Khan] Se Liya Gaya Hai}


🌹🌹🌹  ησσгι gгσυρ  🌹🌹🌹

🥏 wa.me//917033921192

▶️ YouTube.com/c/TASchamparan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Comments