SHABE BARAAT (Special Post-1)

ΞΞΞΞ •••••  【<٨ч/۹۲/۱۱】 ••••• ΞΞΞΞ
*🌹🌹🌹  ησσгι gгσυρ  🌹🌹🌹*
_*Maslake Aala Hazrat Zindabad, Huzoor TajushShariah Zindabad*_

        *📿SHAB-E-BARAAT📿*
                           *شَـــبِ بـَــرَات*

🏵SPECIAL POST...1

*SOWAL❓* _Shabe Baraat me Halwa pe Fateha Ya Neyaz dena aur Khane ki chiz samne rakh kar fateha Neyaz karna aur Isale Sawab karna kaisa hai...?_

*JAWAB...✍*
Bela Shub'ha durust hai, (Fateha aur Neyaz karna bhi Isale sawab karna hi hai),
_Fatehe me Kisi bhi paak khane ki chiz par Quran ki Aayate'n wa Durood ppara jata hai aur iska sawab Parda farma gae Iman walo ko Bakhshte aur Nazr karte hai yani Isale Sawab karte hai jo ki bela Shub'ha Quran wa Hadees se Bilkul wazeh taur pe sabit hai._

*✅ISAALE SAWAB KA SABUT QURAN WA HADEES SE*

✍Isaale Sawab ka lafzi ma'ana hai “SAWAB PAHUCHANA” is ko “Sawab Bakshna” bhi kahte hai magar buzurgo ke liye Sawab Bakhshna kahna Munasib nahi “SAWAB NAZR” karna kahna adab ke zyada Qarib hai.

*🔮Imam Ahmad Raza رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه farmate hai;*

*_“Huzoor E Akdasﷺ khwaah Nabi ya Wali ko sawab bakhshna kahna Be-adbi hai bakhshna bade ki taraf se chhote ko hota hai balki nazr karna ya hadiya (tohfa) kahe(n) ”_*

_📗{Fatawa Razwiya Jild -26, Safa-609}_

*✍Chand Aayaate mubaraka wa Ahadise Karima Pesh Hai Jis se bilkul wazeh ho jaega ke Isale sawab karna bilkul sahi hai*

*🔮AAYAT 01* _“Aur Wo Jo unke baad Aaye Arz Karte Hai Aye Hamare Rab ! Hume Bakhsh De Aur Hamare Bhaiyo Ko Jo Hum Se Pehle Imaan Laaye Aur Hamare Imaan Waalo Ki Taraf Se Keena Na Rakh, Aye Rab Hamare ! Beshak Tuhi Bahot Meharbaan Raham Waala Hai”_
_→{Surah Al Hashr Aayat 10}_

*🔮AAYAT 02* _“Aye Hamare Rab Mujhe Baksh De Aur Mere Maa Baap Ko Aur Sab Musalmaan Ko Jis Din Hisab Kayam Hoga”_
_→{Surah Ibrahim Ayat 41}_

✍In Aayat me Allah ne Musalmano ke is dua ko bataur e tareef bayan farma raha hai jo Musalman apne GUZAR GAYE BHAIYO  KE LIYE DUA E MAGHFIRAT SE ISAAL E SAWABKA KAR RAHA HAI: agar wisal kar ke logo ko zindo se koi nafa na pahuchta isale sawab na hota to Quran Hargiz usko bataur tareef o istehsan bayan na karta dua to ek shakhs ne maanga par iska faida sabko pahucha khwah wo zinda ho ya murda.

*🔮HADEES 01*

Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ Se Rewayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Bargah-e-Resalat ﷺ Me Arz Kiya; Ya RasoolAllah ﷺ ! *Meri Waalida Faut Ho Chuki Hai'n' Agar Mai(n) Unke Taraf Se Sadqa Doo’n' To Kya Woh Use Koi Nafa Dega? Aap ﷺ Ne Farmaya; Haa’n' !* Usne Arz Kiya; Mere Paas Ek Baagh (Garden) Hai Aap Gawaah Rahe(n) Mai'n' Ne Yah Baagh Us Ki Taraf Se Sadqa Kar Diya.”

_📚{Sunane Tirmizi, Jild-02 Safa-56, Ketab Az-Zakat, Baab-33, Hadees -669}_
_{Sunan Abu Dawood, Jild-03, Safa-118, Ketab-18 Kitabal Wasaya, Hadees : 2882}_ _Albani Ne Bhi Abu Dawood Ki Hadees Ko Sahi Kaha Hai {Sunan Nasai Jild-06, Safa-252, Ketab-30, Ketab Al Wasaya, Baab-07, Hadees-3655}_
_(Imam Nasai Sunan Al Kubra Jild-04, Safa-110, Hadees-6482)_

*🔮HADEES 02*

Jab koi sakhs maiyat ko Isale Sawab karta hai to JIBRAIL علیہ السلام use Noorani Tabak me rakh kar Qabr ke kenare khade ho jate hai aur kahte hai, Ae Qabr Wale! Ye hadiya(tohfa) tere ghar walon ne bheja hai qubul kar, ye sun kar wo khus hota hai or uske padosi apni marhumi par ghamgin hote hai
_📖SharhusSudur S-308_

*🔮HADEES 03*:

Meri ummat gunah samet QABR me dakhil hogi aur jab niklegi to BE'GUNAH hogi kyu k wo moamenin ki DUAO'N' se bakhs diye jate hai
_📖TABRANI AWSAT J-1 S-509 H-1879_

_*🖊In Ahadees-e-Mubaraka se ye bilkul wazeh ho gya ki Isale sawab karna jaiz hai balki iska faidah Qabr walo ko milta hai aur wo khush hote hai*_

📝🄲🄾🄽🅃🄸🄽🅄🄴
*🌹🌹🌹 ησσгι gгσυρ 🌹🌹🌹*
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹


Comments