SHABE BARAAT (P-4)
ΞΞΞΞ ••••• 【<٨ч/۹۲/۱۱】 ••••• ΞΞΞΞ
*🌹🌹🌹 ησσгι gгσυρ 🌹🌹🌹*
_*Maslake Aala Hazrat Zindabad, Huzoor TajushShariah Zindabad*_
*📿SHAB-E-BARAAT📿*
*شَـــبِ بـَــرَات*
*🅿…4*
✅SHABE BARAAT KE AAMAAL
_*✍Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya;*_
_Jo is shab me Sham ke bad (Ba waqte Maghrib) Ghusl kare Mustahab Hai_
_Jo Ba Niyate Ebadat Ghusl Kare to ghusl ke pani ke har qatre ke badle us ke liye 700 rekat namaze nafl ka sawab likha jaega phir ghusl ke bad do rekat namaze tahyatul wazu parhe, aur har rekat me surae fateha ke bad ek bar Ayatal kursi aur surae ekhlas teen bar parhe Phir Tahyatul wazu Parhne ke bad 8 rekat namaze nafl parhe jis ki har rekat me surae fateha ke bad surae INNA ANZALNA ek bar parhe aur surae ekhlas 25 bar parhe Huzoor ﷺ ne farmaya hai ke jo Shakhs ye Namaz Shab-e-Qadr yani 14vi-15vi ki darmeyani raat me ada kare us ke tamam gunah bakhshe jaenge aur wah gunaho se aisa paak ho jaega jaise aaj hi paida hua hai._
_*✍ Sayyadena Ghaus-us-Saqlainعلیہ الرحمہ Likhte Hai Ki*_
_Shaban ki darmeyani rat me 100 rekat namaz parhne ka hukm hai 1000 bar Surae Ekhlas parha jae yani har rekat me 10-10 martaba, Is namaz ko namaze khair kahte hai, Is ki barkat wasee'a(Kushada, Farakh = وسیع) hai, Gujashta zamane me nek log ye namaz jamat ke sath ada kiya karte the, log ye namaz parhne jama ho jaya karte the, Is namaz ki bahut si fazilate aur barkate hai us ka sawab bhi bahot hai,_
*_Hazrat Hasan Basri Rasoole khuda ﷺ ke 30 sahaba se rewayat karte hai ke jo shakhs is rat me namaz parhe Allah Ta'ala us par 70 nigahe dalta hai aur har nazar me us shakhs ki 70 hajate puri karta hai un hajato me us ki sab se kamtar hajat ye hoti hai ke us ki aamarjish ho jati hai us 14vi aur 15vi ke darmeyani rat me us namaz ka ada karna mustahab hai jis ka zikar pahle aachuka hai Is namaz ki Tahe Dil se koshish karni chahiye taaki fazilat wa buzurgi nasib ho sake aur sawab mile_*
📝🄲🄾🄽🅃🄸🄽🅄🄴
*🌹🌹🌹 ησσгι gгσυρ 🌹🌹🌹*
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Comments
Post a Comment