SHABE BARAAT (P-2)
ΞΞΞΞ ••••• 【<٨ч/۹۲/۱۱】 ••••• ΞΞΞΞ
*🌹🌹🌹 ησσгι gгσυρ 🌹🌹🌹*
_*Maslake Aala Hazrat Zindabad, Huzoor TajushShariah Zindabad*_
*📿SHAB-E-BARAAT📿*
*شَـــبِ بـَــرَات*
*🅿…2*
✅SHABE BARAAT KE AAMAAL
_*✍Sayyaduna Ghaus-e-Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani علیہ الرحمہ Farmate Hai'n;*_
_Shabe Baraat ko is liye zahir farma diya ke ye rat qaza aur hukm, qahar aur raza, qubuliyat aur qurb aur sa'adat aur shakhaawat karaamat aur parhezgari ki rat hai,_
_Is rat me koi shakhs nek bakht bana diya jata hai aur koi mardud qarar pata hai, ek ko nek kamo'n ki jaza dekar kamran kar diya jata hai aur dusre ko bure kamo ke badle me'n khwar kar diya jata hai, ek ko buzurgi di jati hai to dusre ko usse mahrum kar diya jata hai, ek ko ajr diya jata hai, dusre ko dhutkara jata hai, *Pas bahut se log to bazar me'n apne karobar me lage hote hai'n aur Allah ke waha us ke kafan tayar ho rahe hote hai'n, baaz ki qabre khodi ja rahi hoti hai'n magar wo dunya me'n khushi me lage hote hai,*_
_bahut se log maghrur aur hansi khel me masruf hote hai'n, haalaake *wo anqarib halaak* hone wale hote hai'n, bahut se shandar mahal pae takmil ko pahunchte hai'n halake un ke malik jald hi fana ho kar khak me mil jane wale hote hai'n, bahut log *sawab ke ummidwar* hote hai'n magar un ke liye azab nazil kiya jata hai bahut log khushkhabri ki tauqi'a lagae hote hai'n halake unhe nuqsan pahunchta hai, bahut se log bahisht ke ummidwar hote hai'n halake unhe dozakh nasib hoti hai, bahut se log wasl ki ummid kar rahe hote hai'n halake un ke liye judai moqarrar hoti hai, bahut se log bakhshish ke ummidwar hote hai halake aakhir kaar unpar bala nazil hoti hai, bahut se log baad'Shaahat hasil karne par yaqee'n rakhte hai'n halake Allah ta'ala ne un ke nasib me halaakat likhi hoti hai_
🖊Mazkura Ebarat Me'n Jin Badnasibo ke bare me zikr hai ki wo halaak ho jate hai'n, *Ye wah log hai* jo Allah Rasool جل جلالہ و ﷺ ki *nafarmani* karte hai'n, Ebadato se duri banae rakhte hai'n, Is shab me'n Ebadat ke bajae Ya digar Ebadato'n ke waqto'n me'n hasi mazak karte hai'n, Jinhe Deen se matlab nahi, Aur khwas taur se Jinka Iman wa Aqida salamat nahi, Jo Deen ko tamasha banate hai Iman ke sath khilwar karte hai, Jo Khususiyat Se Is Shab me'n Atish Baziya'n Jaisi behuda harkate karte hai'n, Waise badbakht logo'n Ka haal aesa hota hai jo Us me byan hua hai...
📝🄲🄾🄽🅃🄸🄽🅄🄴
*🌹🌹🌹 ησσгι gгσυρ 🌹🌹🌹*
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Comments
Post a Comment