ISLAM ME AURAT (02)

_*●•●•●•●•●•Հлч/۹۲/۱۱•●•●•●•●•●*_
_*🌹🌹🌹 ησσгι gгσυρ 🌹🌹🌹*_

〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  【 ● ISLAM ME AURAT ● 】
                【Part:02】
〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*KANZUL IMAAN* - Aur jin aurton ki nafarmani ka tumhein andesha ho to unhein samjhao aur unse alag sowo aur unhein maaro phir agar wo tumhare hukm me aa jayein to unpar zyadti ki koi raah na chaho

📕 Paara 5,surah nisa,aayat 34

*🔅 Yaani koi aurat agar shauhar ki nafarmaan bhi hai(Shouhar ki bat agar Shariyat ke daire me ho) to bhi talaaq dena hi pahla kaam nahin hai balki...*
*pahle use samjhaya jaaye ki ALLAH farmata hai "Aurato ke sath achchhi masherat karo" phir bhi na maane to uske saath na soyen phir bhi na maane to halki maar se maar sakte hain Ki HADEES me hai "Koi shakhsh apni aurat ko na mare jaise Ghulam ko marta hai phir dusre waqt me usse mojammat karega" phir agar maan jaaye to achcha warna ab ek talaaq dene ki ijazat hai aur uske baad ek mahine ka waqt agar is beech samjhauta ho gaya to bahut achchha ki bagair nikah aur halala liye use apne nikah me la sakte hain aur agar phir nahin maani to ab doosri talaaq de sakte hain aur phir ek mahine ka intezar ab agar samjhauta ho gaya to theek warna ab teesri talaaq dekar aap apne raaste use uske raaste bhej dein,ye hai talaaq dene ki shartein magar maaz ALLAH awaam ne to hukme sharah ka hi khilwad bana rakha hai zara kuchh baat huyi fauran 3 talaaq de daali aur uske baad lage muftiyon ke paas naachne ke ab kaise use phir se apne paas rakh saken,yaad rakhen ikatthi 3 talaaq dena hargiz jayaz nahin hai lekin agar de di to teeno waaqe ho jayegi yaani ab usi aurat se bagair halala kiye nikah nahin kar sakte,isliye islaam ke Qanoon ko samjhen aur apni aulaad ko bhi iski sahi taleem dein*

*KANZUL IMAAN* - Aur tumhare tarke me aurton ka hissa chauthayi hai agar tumhare aulaad na ho aur agar tumhare aulaad ho to unka tumhare tarke me se aathvan hissa

📕 Paara 5,surah nisa,aayat 12

*🔅 Surah nisa ki aayat 11-12 padhiye aur dekhiye ki maula ne kisko kisko jaaydaad me kitna hissa diya hai,jo log islam me aurton ka koi maqaam nahin samajhte unhein chahiye ki islam ke muqable apne dharam me dekhen ki unke yahan aurton ko kitna haq haasil hai*

Islam me ladkiyon ko beshumar fazilat di gayi

Padhane likhane rozi rozgaar seekhne ki ijazat di gayi

Nikah ke liye unki ijazat shart rakhi gayi

Agar wo chahen to talaaq dene ka ikhtiyar bhi rakh sakti hain

Bewa aurton ko dobara nikah karne ki ijazat di hai

Unhein jaaydaad me hissa diya gaya

*🔅Or jinhe Islam ne khane pine uthne baithne ka saliqa or na jane kya kya diya hai, Unhi me se kuchh logon ko lagta hai ki islam me aurat mazloom hai uski koi izzat nahin,Ye aise log hain jo aurton ke himayti nahin hain balki unhein Islam ki in shahzadiyon ki azmat phoote aankh nahin suha rahi wo yahi chahte hain ki musalman ghar ki aurtein bhi court kucthery ke chakkar me padkar apna tamasha banayein apne muashre ka tamasha banayein aur is tarah apni duniya aur aakhirat sab barbaad kar lein,Meri maa aur bahno yaad rakhen agar aap musalman hain aur waqayi imaan ab tak aapke dil me maujood hai to ye baat zarra barabar bhi maanne laayaq nahin hai ki sabse bada insaaf waala aapka Parwar digaar kya aapke saath Na insaafi kar sakta hai, nahin nahin aur hargiz nahin,*
*to phir kyun chand kaafiron ki baaton me aakar apna kirdaar daagdaar bana rahin hain aur imaan barbaad kar rahin hain,maula taala apne habeeb ke sadqe me musalman aurton aur mardon sabko hidayat ata farmaye*-Aameen

🖊Copied Քrom ZEBNEWS (معمولی اضافہ)
📜Բor NOORI GROUP

  *🆖 +91* *7033921192*
          *+91* *9504410598*
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Comments